Kash Iss Eid Par Main Tera Bakra Hota
Aur Kissi Ne Na Sahi Tu Ne To Mujhe Pakra Hota
Tu Hina Lagey Hathon Sey Mujhe Pathey Khilati
Thorey Thorey Nahi Sarey Ikathey Khilati
Tu Mujhey Main Main Kar Key Bulati
Aur Sham Ko Gali Main Saath Ghumati
Mere Pass Gaari Na Sahi Chakhra Hota
Kash Iss Eid Par Main Tera Bakra Hota
Tu Meri Suhbat Par Naaz Karti
Bila-Jhijhak Mujhe Aashnae-Raz Karti
Agar Mera Raqeeb Mujhe Chehra Karata
Seeng Marta Foran Usse Takar Karata
Raat Ko Sardi Main Bahir Akra Hota
Kash Iss Eid Par Main Tera Bakra Hota
Phir Eid Par Zibah Ho Jata Main
Teri Khatir Cut Mar Jata Main
Teri Muhabat Ne Kuch Iss Tarah Jakra Hota
Kash Iss Eid Par Main Tera Bakra Hota
Tum Aao to Ham bhi Eid karein
Hasrat Hai Tumhari Deed Karein
Tum Aao to ham bhi Eid karein
Kuch Dair to Dil ko Chain Miley
Kuch roz to Man ka Phool Khiley
Kehtey hain ke Eid ki Aamad hai
Ham log bhi Kuch taaeid karein
Tum Aao to Ham bhi Eid karein
Tum se yeh Aik Guzaarish hai
yeh Apney Dil ki Khaaish hai
Ik Baar milo , Ik Baar Milo
Har Baar yahi Taakeed karein
Tum Aao to ham bhi Eid Karein
Mana ke Ham Deewaney hain
Sab Baatoo'n Se Anjaaney hain
Jab Apney hi Baigaaney hain
Kya Ghairoo'n Se Umeed karein
Tum Aao to ham bhi eid karein
Tum aao to Ham bhi Eid karein ......
Kuch Musarrat Mazeed ho jaye
Is bahane se Eid ho jaye
Eid milne jo Aap aajayein
Meri b Eid, Eid ho jaye
Gulshan ko kar rahi Mo'attar Hawa-e-Eid
Aata nahi Nazar kuch b Siwaye Eid
Meri Taraf se Eid Mubarak ho Aap ko
Bus Mere pass hai Yehi Tohfaa Bara-e-Eid
Eid aaye Tum na aaye kya Maza hai Eid ka
Eid hi to Naam hai Ek Dusrey ki Deed ka
Apna to kisi Tour katt jaye ga ye Din
Tum jis se milo aaj us ko Eid Mubarak
mai ne chaha k apko EID pe kuch pesh karoo.
jis mai tabinda sitaro ki chamak shamil ho.
jis mai guzre lamhat ki tasvere ho.
jis mai anjan jazeron ki mehak shamil ho
kia lutf-e-EID aap agar mujh se door hain.
guzre ga rozee EID tasawor man aap ke
chat per khare EID ka chand jab dekho.
is muke per ap mujhy yad karna.
jab kisi ko gale mil kar EID mubrk kaho.
is muke per mujhy yad karna.
khushyan le kar araha hai tehwar.
ye din bhi ata nai bar bar.
khush raho ap EID k lamhat main.
sare jahan ka mil jae apko piar
mile apko na dukh zindagi main.
phool ki tarha ap mehko ALLAH kare.
zinda rahe nam abad tak apka.
EID ki khushyan apko mubrk ALLAH kare.:
nazar ka chain dil ka soror hote hain.
kuch ase log jahan main zaror hote hain.
sada chamakta rahe in ki EID ka tehwar.
kareb reh k b jo hum se dor hote hain shani
Mubarak ho Markze Rohatay Hilal Kameti ne mujhe dekh leya hai. Kal EID HO Gi... @Eid Mubarak
Aap ko lado soap, gaey soap, habib cooking oil,habib banaspati, parwaz fan,metromilanagarbati bananay
waley,kinola cooking oil, aur meri taraf say dili eid mubarik.
EID" WO "EID" NAHI JIS MAIN TUMHARI DEED NAHI.
"DEED" WO "DEED" NAHI JIS MAIN TUM QAREEB NAHI.
FROM
AFAQ SETHI
Sufi soap, Lado soap, Comandar Soap, Roban Neel, Kashmir Banaspati, Sufi cooking Oil, Dalda Banspati Metro
millon agarbati,Pepsi,7up,Team Sprite,Dew, National chat masala, Surf Exel, Wheel,Bonous,Areal, aur meri
taraf say advance EID Mubarak.
Ab tu har bars,chand raat ko main chand ko dheekta hoo aur yeh guman karta hoo k shayad ab ki bar chand
raat main tum b chalay aao,aur chpkay say meri aankhon par haath rakh ker keh doo
!!! EID Mubarak !!! Kisi_ki_jan
for those.
jo CHAND niklnay ka be sabri say Intizar kar rahay hain....give urselves a rest...........
KYON KE
mera aaj ghar sey nilkalney ka koi irada nai hai!!!;-:)>
KITNI EIDAIN GUZAR GAI TUM BIN
AB KHUDA KAY LIYE NA TARPANA
DEKHO PHIR EID ANAY WALI HA
EID KAY SATH TUM BHI AJANA
"EID Ki Dua"
Chupkay say chand ki Roshni Choo Jaye Apko
Dheeray Say Ya Hawa Kuch Keh Jaye Apko
Dil Say jo Chahtay Hoo Maang Lo Khuda Say
Hum Dua Kartay Hain Mil Jaye Woo Apko
EID MUBARAK
Rahoon Ki ye shaam aur yadoon ka ye sama
Apni palkoon mein hargiz sitare na layeinge
Rakhna Sambhal k tum chand khushiyan mere liye
Main laut k aaonga phir EID Manaeinge!
Eid leka aate hai dher sare khusiya,
Eid mita deta hai insan mai duriya,
Eid hai khuda ka ek nayam tabarok
Eisi liye kahte hai sab EID MUBARAK
Aaj se Aamire Garibi ka fasle na rahe,
Har Insan ek duje ko aapna bhai kahe,
Aj sob kuch bhool ka aa gale lag ja,
Mubarak ho tuje yeh EID-UL-AZHA
Sada haste raho jaise haste hain phool,
Duniya ki sare gham tumeh jaye bhool,
Charo taraf phalao khushion ka geet, By Uzzal
Eisi ummid ka sath Yaar tumhe...MUBARAK ho EID soooo
Suraj ki kirne, taaron ki bahaar.
Chand ki chandni, apno ka pyaar.
Har ghadi ho khushaal.
ussi tarhan Mubarak ho aapko Eid ka yeh tyohaar!
"EID MUBARAK"
chand nikel hi aya,jisko sawan badli geheer ke lai,chand ne apni shakle dekahai,meri duaien youn bar aien....aaj ke din jo deed huwi hai,,samjho meri eid huwi hai,aaj ke din khush hai mera,roshini hahi,gia andhera,,masaem jo rashk ka aya,ankh se bhaga ashk ka saya,aaj jo dekha hand ko main ne,dil se duaien har dum mangien"aye mere ALLAH Saien"....."khushian chand dikhata hai,jo tu ous ko bhi khush rakihna aur ous chand ko hansta rakihna,ous ko ko,e dukih mat dena,,,,mere chand ko bhi hansta rakihna.............*********
Ab tu har bars,chand raat ko main chand ko dheekta hoo aur yeh guman karta hoo k shayad ab ki bar chand
raat main tum b chalay aao,aur chpkay say meri aankhon par haath rakh ker keh doo
!!! EID Mubarak !!!
Tuesday, 8 September 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment